khandar bache huye hai
khandar bache huye hai imarat nahi rahi achcha hua ki sar pe koi chchat nahi rahi
kaise masalein le ke chale teeragi mein aap jo roshni thi woh bhi salamat nahi rahi
kuch doston se viase marashim nahi rahe kuch dushmanoo se vaisi adawat nahi rahi
mere chaman mein koi naseman nahio raha ya yun kahoo ki wark ki dahsat nahi rahi
himmat se sach kahoo to bura mante hai log ro-ro ke baat kahne ki adat nahi rahi
humko khabar nahi thi hame ab pata chala is mulk mein hamari hukumat nahi rahi
hamne tamam umra akele safar kiya hum pe kisi khuda ki inayat nahi rahi