1,663 bytes added,
19:15, 7 मार्च 2009 [[hai preet jahan ki reet sada]]
jab zero diya mere bharat ne
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab ginti aayee
taron ki bhasha bharat ne
duniya ko pehle sikhlayee
deta na dasamlav bharat to
yun chand pe jaana mushkil tha
dharati aur chand ki doori ka
andaaza lagaana mushkil tha
sabhyata jahaan pehle aayee
sabhyata jahaan pejle aayee
pehle janmi hai jahan pe kala
apna bharat wo bharat hai
jiske peechhe sansar chala
sansar chala aur aage badha
yun aage badha badhta hi gaya
bhagwaan kare ye aur badhe
badhta hi rahe aur phoole phale
badhta hi rahe aur phoole phale
hai preet jahan ki reet sada
hai preet jahan ki reet sada
hai preet jahan ki reet sada main geet wahan ke gaata hoon
bharat ka rahne wala hoon bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada
kaale gore ka bhed nahi har dil se hamara naata hai
kuchh aur na aata ho humko hamen pyaar nibhana aata hai
jise maan chuki saari duniya ho jise maan chuki saari duniya main baat
main baat wahi doharata hoon
bharat ka rahne wala hoon bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada
jeetey ho kisi ne desh to kya humne to dilon ko jeeta hai
jahan ram abhi tak hai nar mein nari mein abhi tak sita hai
itne pawan hai log yahan ho itne pawan hai log yahan main nit nit
main nit nit sheesh jhukata hoon
bharat ka rahne wala hoon bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada
itni mamta nadiyon ko bhi jahan mata keh ke bulate hain
itna aadar insan to kya patthar bhi poojey jaate hain
us dharati pe main ne janam liya ho us dharati pe main ne janam liya ye soch
ye soch ke main itaraata hoon
bharat ka rahne wala hoon bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada