* [[कोई और छाँव देखेंगे / ताराप्रकाश जोशी]]
* [[तेरे-मेरे बीच कहीं है / ताराप्रकाश जोशी]]
* [[Mera Vaitan / ताराप्रकाश जोशी]]
</sort>
<poem>
Mera vaitan ese rani
jese garam tave pe pani
ek kasaili canteen se
thakan udasi ka nata hai
vaitan ke din sa hi nischit
pahla bill uska ata h
har udhar ki reet umr si
jo payi h so lautani
daftar se ghar tak hai faile
kajdataon k garm takaje
ochi fati hui chadar me
ek dhaku to duji laje
karza lekar karz chukana
angaro se aag bhujani
fees, dress, copiya, kitaben
angan me awajen angin
jarurato se bojhil ugta
jarurato me dhal jata din
aspatal ke kisi ward si
ghar me sari umr bitani
[baki hai]