{{KKRachna Poem. Hawa me maut ke bich. Omprakash sarswat. Ek hi karkhane ki gas
Sari basti ke nathuno me
maut ki tarah beh gayi
Rat ke taron- se
Wayada kerke soyi basti,
Subah,suraj ke Sawagat se muker gayi
Us din
bhor ki ghantiyon se
Panchhiyon ke kanth nahein baje Karkhane ko devta ki tarah pujane wale hath utsah se nahein saje
bachey
maon ki chhatiyon
se chipker roye bachey maon ki chhatiyon se per jivan ke bol kisi-jivha per nahein uge
carbide hazar sanso ko oxizen ki tarah pi gayi Bhopal ki gas
sakdon changaze-hitlaron ke
jaghanya -adhayayon ko
minton meji gayi
asafalata ne
uplabdi ko
sharminda ker diya moun ne maot ko
jindaker diya
sari duniya
hairan thi
ki yeh sab kaise ho gaya wah kaun sa aatatayi tha jo hawa me maut ke bij bo gaya. Poem.Mukesh Negi
</poem>