मै तुम्हे ढूंढने / कुमार विश्वास
कृपया kavitakosh AT gmail.com पर सूचना दें
Main tumhe dhune sawarg ke dawar tak gaya roz jata raha, roz aata raha tum gazal ban gai, geet me dhal gai manch se main gungunata raha
jindagi ke sabhi rasate ek the sabaki manzil tumhare chayan tak rahi aprakashit rahe pir ke upnishad man ke gopan kathayen nayan tak rahin pran ke prashan per priti ki alpana tum mitati rahin main banata raha tum gazal ban gai, geet main dhal gai manch se main gungunata raha ek khamosh halchal bani jindagi
gahara thehara jal bani jindagi tum bina jaise mehalon me bita hua urmila ka koi pal bani jindagi drishti aakash main aas ka ek diya tum bujhati rahi, main jalata raha tum gazal ban gai, geet main dhal gai manch se main gungunata raha
tum chali gai to man akela hua
sari yadon ka purjor mela hua
jab bhi loti nai khushbuon me sazi
man bhi bela hua tan bhi bela hua
khud ke aaghat per vayarth ki bat per
roothti tum rahi main manata raha
tum gazal ban gai, geet main dhal gai
manch se main gungunata raha
Main tumhe dhune sawarg ke dawar tak gaya roz jata raha, roz aata raha
{poem} [Mukesh Negi]