घर-एक / श्रीनिवास श्रीकांत
Ghar ek kitab hai
pechida guthiyon wali
ek dusare se jude anpadhe
kathavrit hain isme kalamband
her vrit hai ek jild
per jitana sarokar
utana hi jana pehchana
padha guna
baki sab rehasaya
talhin
Ghar hai dehon se meryadit
Gopniya chetna ka
ek bada angaha sansar
Ghar ek boana jangal
apne paon chalata
usmen gujar jati hain
pidhiyon ki pidhiyan
sadiyon ki sadiyan
nekiyan
bandiyan
sabhi.
samaya ki nadi ka
udagam sathal hai ghar
agar Ghar Ghar nahein
to wah dher hai
jhuthkhoron ke ander ka der
waqt ke panchi
tuta hua per bhi hai ghar
sanate niket mein
gunjati rehati
fadfadahat jisaki
barason
Ghar ek yatra hai
Dharamyatra hai
anant ki aor
registan mein
chalata hua kafila hai Ghar
barfani manjer mein
hai wah
ek dhruviya kabila
apane mein akela
apane mein sampurn
ek sath kai sajon mein bajata
samuhgan hai Ghar
jise gata hai darakhat
aoor usaki tehniyan
kabilon ka bhagwan hai
ghar
satvikon ka
puja sathal
asatvikon ka
musafirkhana
kabhi-kabhi besabab
lo mein jalata perwana bhi hai ghar
Ghar na aakaash hai
na patal
wah hai adher
per ant mein
ghar bas ghar hai
itana bher.
Mukesh Negi