भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए

कब वो सुनता है कहानी मेरी / ग़ालिब

Kavita Kosh से
192.223.163.5 (चर्चा) द्वारा परिवर्तित 21:46, 1 फ़रवरी 2007 का अवतरण

(अंतर) ← पुराना अवतरण | वर्तमान अवतरण (अंतर) | नया अवतरण → (अंतर)
यहाँ जाएँ: भ्रमण, खोज

kab wo sunta hai kahani meri aur phir wo bhi zabani meri


khalish-e-gamza-e-khunrez na puch dekh khunbafishani meri


kya bayan kar k mera royege yar magar ashufta-bayani meri


hun zikhud rafta-e-baida-e-khayal bhul jana hai nishani meri


mutaqabil hai muqabil mera ruk gaya dekh rawani meri


qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun sakht arzan hai girani meri


dahan us ka jo na malum hua khul gai hao chamandani meri


kar diya zof ne ajiz "Ghalib" nang-e-piri hai jawani meri