भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए
Mahesh kumar kuldeep
Kavita Kosh से
zahar ye kaisa tum faila rahe ho. apno ko apno se lada rahe ho. foot dala raj kiya kai saal tak, goron ki si reet kyon nibha rahe ho. apna ghar roshan kiya to kya kiya, aoron ke ghar deep tum bujha rahe ho. takklluf ye kaise-kaise utha rahe ho, insaniyat ko bar-bar aajma rahe ho. milke sanwaron apne is gulshan ko, alag-alag kyariyan kyon bana rahe ho.