भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए
सदस्य:Ravikant rahi
Kavita Kosh से
Ravikant rahi (चर्चा) द्वारा परिवर्तित 14:02, 28 जुलाई 2008 का अवतरण (New page: == khandar bache huye hai == khandar bache huye hai imarat nahi rahi achcha hua ki sar pe koi chchat nahi rahi kaise masalein le ke chale teeragi mein aap jo roshni thi woh bhi salamat n...)
khandar bache huye hai
khandar bache huye hai imarat nahi rahi achcha hua ki sar pe koi chchat nahi rahi kaise masalein le ke chale teeragi mein aap jo roshni thi woh bhi salamat nahi rahi kuch doston se viase marashim nahi rahe kuch dushmanoo se vaisi adawat nahi rahi mere chaman mein koi naseman nahio raha ya yun kahoo ki wark ki dahsat nahi rahi himmat se sach kahoo to bura mante hai log ro-ro ke baat kahne ki adat nahi rahi humko khabar nahi thi hame ab pata chala is mulk mein hamari hukumat nahi rahi hamne tamam umra akele safar kiya hum pe kisi khuda ki inayat nahi rahi