भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए
Changes
Kavita Kosh से
/* khandar bache huye hai */
== khandar bache huye hai ==
[[khandar bache huye hai ]]
khandar bache huye hai imarat nahi rahi
achcha hua ki sar pe koi chchat nahi rahi
kaise masalein le ke chale teeragi mein aap
jo roshni thi woh bhi salamat nahi rahi
kuch doston se viase marashim nahi rahe
kuch dushmanoo se vaisi adawat nahi rahi
mere chaman mein koi naseman nahio raha
ya yun kahoo ki wark ki dahsat nahi rahi
himmat se sach kahoo to bura mante hai log
ro-ro ke baat kahne ki adat nahi rahi
humko khabar nahi thi hame ab pata chala
is mulk mein hamari hukumat nahi rahi
hamne tamam umra akele safar kiya
hum pe kisi khuda ki inayat nahi rahi
Anonymous user