भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए
SAZDA........
Kavita Kosh से
Apne ghar se nikla Uske ghar ki ore jaane ke liye
Nahi chale Kadam mere Saari duniya hi to hai ghar us-ka
Sazda karne pahuncha jab us-ke darbar mein haath failaye huye
Kaise karoon sazda Yeh sir bhi to usi ka hai diya huaa
Uthhe reh gaye haath mere Shukrana us-ka karne ke liye
Nahi mil rahe lafz mujhko Us khuda ki tareef ke liye
Padda huaa hoon sazde mein us Pak-Parvidgaar ke
Nahi kar paaya sazda us-ka, Be-bas hoon apne is haal pe
By Devinder Singh………