भारत की संस्कृति के लिए... भाषा की उन्नति के लिए... साहित्य के प्रसार के लिए
"सफ़र में सोचते रहते हैं छाँव आए कहीं / मोहम्मद अलवी" के अवतरणों में अंतर
Kavita Kosh से
(नया पृष्ठ: {{KKGlobal}} {{KKRachna |mohammad alwi }} <poem> Safar mein sochte rahte hain chhanv aaye kahiin ye dhoop sara samandar hi pii na jaye kahiin Main khud k...) |
(कोई अंतर नहीं)
|
09:37, 14 सितम्बर 2009 का अवतरण
Safar mein sochte rahte hain chhanv aaye kahiin
ye dhoop sara samandar hi pii na jaye kahiin
Main khud ko marte hue dekhkar bahut khush hoon
Ye dar bhi hai ki meri aankh khul na jaye kahin
Hava ka shor hai, badal hain aur kuchh bhi nahin
jahaz toot hi jaye, zamiin dikhaye kahiin.
Chala to hun magar is bar bhi ye dhadka hai
ye rasta bhi mujhe fir yahiin na laye kahin
Khamosh rahna tumhara bura na tha 'Alwi'!
bhula diya tumhe sabne na yad aaye kahiin