Changes

नया पृष्ठ: {{KKGlobal}} {{KKRachna |mohammad alwi }} <poem> Safar mein sochte rahte hain chhanv aaye kahiin ye dhoop sara samandar hi pii na jaye kahiin Main khud k...
{{KKGlobal}}
{{KKRachna
|mohammad alwi
}}
<poem>

Safar mein sochte rahte hain chhanv aaye kahiin
ye dhoop sara samandar hi pii na jaye kahiin

Main khud ko marte hue dekhkar bahut khush hoon
Ye dar bhi hai ki meri aankh khul na jaye kahin

Hava ka shor hai, badal hain aur kuchh bhi nahin
jahaz toot hi jaye, zamiin dikhaye kahiin.

Chala to hun magar is bar bhi ye dhadka hai
ye rasta bhi mujhe fir yahiin na laye kahin

Khamosh rahna tumhara bura na tha 'Alwi'!
bhula diya tumhe sabne na yad aaye kahiin